qubul kijiye inkar ka maqam nahin

qubul kijiye inkar ka maqam nahin
ye jam-e-mai hai pari-wasl ka payam nahin

ajib hai ye sarapa kamar ka nam nahin
kuchh un ki be-dahni mein mujhe kalam nahin

hai kaun shaikh-o-barahman jo dil se ram nahin
tumhaara dair se kab ta-haram khiram nahin

liya jo mol zulekha ne mah-e-kanan ko
kaha jamal ne sahab hun main ghulam nahin

bahak na jaun jo pi jaun bahr-e-mai saqi
sawari hech hai jab hath mein lagam nahin

utha le hath jafa-o-sitam se ai zalim
khuda ke pas bhi is se bada salam nahin

safen hain jam ki mai-khana apni masjid hai
ba-juz sharab ki botal ke yan imam nahin

jo ek bosa-e-lab lun hazar shukr karun
tere raqib sa main bhi namak-haram nahin

main aap karti hun khidmat kaha zulekha ne
teri ghulami ke laeq koi ghulam nahin

wazifa hai tere husn-o-ada-o-ghamze ka
kisi bashar ki zaban par kisi ka nam nahin

mere gunahon ko aur kis se bakhshwaun main
shafia juz tere ya sayyad-e-anam nahin

firaq mein nahin pita main aab tak mai kya
ilahi banda tera shaarib-e-mudam nahin

chale na jae wo ghar ko usi bahane se
suna do mere janaze ko izn-e-am nahin

hujum-o-yas-o-alam dil ko mere ghere hain
ki muntazir hai jamaat magar imam nahin

kab aane pata hai rindon mein nam zahid ka
hamari bazm mein bole kabab-e-kham nahin

na phul jao 'nasim' un ke phul phenke par
gulon ki mehr-o-mohabbat ko kuchh qayam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close