qusur-war jo tum ho KHata hamari bhi hai

qusur-war jo tum ho khata hamari bhi hai
diye bujhane mein shamil hawa hamari bhi hai

bahut aziz hamein teri dosti hai magar
agar ghurur hai tujh mein ana hamari bhi hai

hamein bhi zeb-e-samaat kabhi banaya jae
dabi dabi hi sahi ek sada hamari bhi hai

kisi ne dil pe mere hath rakh ke puchha tha
teri bahisht mein kya koi ja hamari bhi hai

hum is zamin se kis tarah dast-kash ho jaen
isi zamin ke andar ghiza hamari bhi hai

har ek aankh mein khud ko talash karte hain
abhi shanakht 'talab' gum-shuda hamari bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close