raat-din lab pe na ho kyunki bayan-e-dehli na makin ab wo rahe aur na makan-e-dehli baz maqtul hue bazon ne phansi pai nam ko bhi na rahe pir-o-jawan-e-dehli shikwa be-faeda karta hai kisi ka hamdam tha muqaddar mein likha yun hi ziyan-e-dehli nahin bazar-e-mohabbat mein kharidari-e-dil chhan dali hai har ek main ne dukan-e-dehli na wo arbab-e-tarab hain na wo hain ahl-e-nishat han nazar aate hain kuchh marsiya-khwan-e-dehli ghamza tha aafat-e-jaan aur qayamat-qamat ajab andaz ke the mah-rukhan-e-dehli ghis ke sandal ka lagana jinhen dard-e-sar tha dil pe rakhte hain wo andoh-e-garan-e-dehli farsh-e-gul pe jo jhijakte the qadam rakhte hue chalte kanton pe hain wo nazukanan-e-dehli ghash pe ghash aate agar dekhte hazrat-yusuf aise andaz ke the kaj-kulahan-e-dehli jhuk gaya charkh khajil ho ke qadam-bosi ko us ne dekhi thi kabhi rifat-shan-e-dehli hosh jate rahe tharra gai nar-e-dozakh pahunchi aflak pe jab aah-o-fughan-e-dehli khak jal-bhun ke to ho jaega charkh-e-bad-bin nala kar baithe jo dil-sokhtgan-e-dehli kuchh ajab naqsha yahan ka nazar aata hai mujhe kyunki dilli pe kiya jae guman-e-dehli aur shahron ke karen lakh takalluf lekin nahin hone ki mayassar ye zaban-e-dehli hain nae rang nae rup jahan ke 'mehdi' kaf-e-afsos hai aur lala-rukhan-e-dehli