raat ko khwab ho gai din ko khayal ho gai apne liye to zindagi ek sawal ho gai dal ke khak chaak par chal diya aaise kuza-gar jaise numud-e-khushk-o-tar ru-ba-zawal ho gai phul ne phul ko chhua jashn-e-visal to hua yani koi nibah ki rasm bahaal ho gai tujh ko kahan se khojta jism zamin pe bojh tha aakhir isi takan se ruh nidhaal ho gai kaun tha aisa ham-safar kaun bichhad gaya 'zafar' mauj-e-nashat-e-rahguzar waqf-e-malal ho gai