raat kya kya mujhe malal na tha khwab ka to kahin khayal na tha aaj kya jaane kya hua hum ko kal bhi aisa to ji nidhaal na tha bole sab dekh meri jaan-kawi ye to farhad ka bhi haal na tha jab talak hum na chahte the tujhe tab tak aisa tera jamal na tha ab to dil lag gaya hai kyun ki na aaen pahle kahte to kuchh muhaal na tha tal gaya dekh yun tera abru ki goya charkh par hilal na tha tuk na thahra mere wo pas aa kar kuchh tamasha tha ye visal na tha dekh shab apne rashk-e-laila ko dang tha main to mujh mein haal na tha sun ke bola tamam qissa-e-qais ishq ka us ko bhi kamal na tha itna roya lahu tu kab 'jurat' abhi daman tera to lal na tha