raaz-e-darun-e-astin kashmakash-e-bayan mein tha

raaz-e-darun-e-astin kashmakash-e-bayan mein tha
aag abhi nafas mein thi shoala abhi zaban mein tha

wo jo kahin tha wo bhi main aur jo nahin tha wo bhi main
aap hi tha zamin par aap hi aasman mein tha

lams-e-sada-e-saz ne zakhm nihaal kar diye
ye to wahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein tha

khwab-e-ziyan hain umr ka khwab hain hasil-e-hayat
is ka bhi tha yaqin mujhe wo bhi mere guman mein tha

khanjar o dashna o sinan ye to bahane hain miyan
aap na sharmsar hon zakhm sirisht-e-jaan mein tha

hadd-e-guman se ek shakhs dur kahin chala gaya
main bhi wahin chala gaya main bhi guzishtagan mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close