raegan jata hai kab ulfat mein diwanon ka khun rang lata hai kisi din in ke armanon ka khun husn-e-gul par is qadar mail na ho ai andalib ho ke rah jaega ek din tere armanon ka khun khak bulbul ne sanwara ghaza bhi kar husn-e-gul aur nur-e-shama mein chamka hai parwanon ka khun aashiyane mein qafas ka zikr tha suhan-e-ruh ab qafas mein ho raha hai dil ke armanon ka khun subh tak ai shama tujh ko jagmagana hai faqat kis liye nahaq kiye jate hain parwanon ka khun