raegani ka aariza hai mujhe

raegani ka aariza hai mujhe
zindagi ek hadisa hai mujhe

is kharabe se kab gila hai mujhe
apna hona hi masala hai mujhe

zimni kirdar hun kahani ka
apni taqdir ka pata hai mujhe

mujh ko andar ki kuchh khabar hi nahin
aur bahar ka sab pata hai mujhe

dasht mein shahr yaad aata hai
ishq ka pahla tajraba hai mujhe

waqt ka raaz jaanne se miyan
jaane ye kaun rokta hai mujhe

ek lamhe ko ruk ke sun le use
a zamin tujh se jo gila hai mujhe

meri hi aankh ke wasile se
khwab andar se dekhta hai mujhe

kitne chehre uthae phirta hun
aaina phir bhi jaanta hai mujhe

ek khushi sud par mili thi kahin
us ka qarza utarna hai mujhe

yun hi khamosh main nahin baitha
shor andar ka tokta hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close