rah-e-talab mein hamein gham pe gham nazar aae ba-qadr-e-zauq magar phir bhi kam nazar aae wahin wahin mera zauq-e-sujud machla hai jahan jahan tere naqsh-e-qadam nazar aae mere shuur ki aankhon mein aa gae aansu mujhe asir-e-alam jab sanam nazar aae teri talash mein ye bhi maqam aaya hai jidhar nigah uthi sirf hum nazar aae wo jalwa-bar hain dil ke nigar-khane mein jo meri chashm-e-tamasha ko kam nazar aae