ye nahr-e-ab bhi uski hai mulk-e-sham us ka

ye nahr-e-ab bhi us ki hai mulk-e-sham us ka
jo hashr mujh pe bapa hai wo ehtimam us ka

sipah-e-taza bhi us ki saf-e-nigah se hai
safa-e-sina-e-shmshir par hai nam us ka

aman khema-e-ram-khurdgan mein baqi hai
ki na-tamam hai ek shauq-e-qatl-e-am us ka

kitab-e-umr se sab harf ud gae mere
ki mujh asir ko hona hai ham-kalam us ka

dil-e-shikasta ko lana hai ru-ba-ru us ke
jo mujh se narm hua koi band dam us ka

main us ke hath se kis zakhm mein kami rakkhun
shuru-e-naz bhi us ka hai ikhtitam us ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close