rah ke khamosh bhi elan bahut karta hai aaina chehron ka nuqsan bahut karta hai aao sahra mein ye diwane se chal kar puchhen phul kyun chaak gareban bahut karta hai raushni likh nahin sakta kisi qismat mein charagh raat aati hai to ehsan bahut karta hai aao ab aql ki mizan pe tolen us ko wo wafadari ka elan bahut karta hai ye naya daur jo ehsan to karta hi nahin aur sharminda-e-ehsan bahut karta hai suni rah jaen jo shakhen to gila bhi na kare wo parindon ko pareshan bahut karta hai aaj 'saulat' ki ye pahchan bahut kafi hai dil-o-jaan aap pe qurban bahut karta hai