rah-naward-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar

rah-naward-e-bayaban-e-gham sabr kar sabr kar
karwan phir milenge baham sabr kar sabr kar

be-nishan hai safar raat sari padi hai magar
aa rahi hai sada dam-ba-dam sabr kar sabr kar

teri fariyaad gunjegi dharti se aakash tak
koi din aur sah le sitam sabr kar sabr kar

tere qadmon se jagenge ujde dilon ke khutan
pa-shikasta ghazal-e-haram sabr kar sabr kar

shahr ujde to kya hai kushada zamin-e-khuda
ek naya ghar banaenge hum sabr kar sabr kar

ye mahallat-e-shahi tabahi ke hain muntazir
girne wale hain un ke alam sabr kar sabr kar

daf bajaenge barg o shajar saf-ba-saf har taraf
khushk mitti se phutega nam sabr kar sabr kar

lahlahaengi phir khetiyan karwan karwan
khul ke barsega abr-e-karam sabr kar sabr kar

kyun patakta hai sar sang se ji jala dhang se
dil hi ban jaega khud sanam sabr kar sabr kar

pahle khil jae dil ka kanwal phir likhenge ghazal
koi dam ai sarir-e-qalam sabr kar sabr kar

dard ke tar milne to de hont hilne to de
sari baaten karenge raqam sabr kar sabr kar

dekh 'nasir' zamane mein koi kisi ka nahin
bhul ja us ke qaul o qasam sabr kar sabr kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close