rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam han mere azm-e-jawan aur zara tez qadam is andhere se na ghabra ki zara aur aage hai charaghan ka saman aur zara tez qadam kahin mayus na hona jo nigahon se abhi un ki mahfil hai nihan aur zara tez qadam ye yaqin hai ki pahunch jaenge un tak ek din chaliye be-wahm-o-guman aur zara tez qadam bujh na jaen rah-e-hasti mein tamanna ke charagh khwaja-e-rah-rawan aur zara tez qadam kis bulandi pe rawan tum ho zamin ke zarro hain sitare nigaran aur zara tez qadam mil hi jaega kahin shahr-e-nigaran 'akhtar' ai parastar-e-butan aur zara tez qadam