rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin kaun hai apne hosh mein zalim kis ka gareban chaak nahin jab tha zamana diwanon ka ab farzane aae hain jab sahra mein lala-o-gul the ab gulshan mein khak nahin fitnon ki arzani se ab ek ek tar aaluda hai hum dekhen kis kis ke daman ek bhi daman pak nahin mauj-e-talatum khair hain hum sahil ke qarib aate hi nahin waqt ki rau mein bah jaen hum aise khas-o-khashak nahin dard-o-karb se hashr bapa honton pe tabassum hai 'akhtar' dil ka aalam kuchh bhi rahe aankhen to magar namnak nahin