rahne de taklif-e-tawajjoh dil ko hai aaram bahut

rahne de taklif-e-tawajjoh dil ko hai aaram bahut
hijr mein teri yaad bahut hai gham mein tera nam bahut

baat kahan un aankhon jaisi phul bahut hain jam bahut
auron ko sarshaar banaen khud hain tishna-kaam bahut

kuchh to batao ai farzano diwanon par kya guzri
shahr-e-tamanna ki galiyon mein barpa hai kohram bahut

shughl-e-shikast-e-jam-o-tauba pahron jari rahta hai
hum aise thukrae huon ko mai-khane mein kaam bahut

dil-shikni o dildari ki ramzon par hi kya mauquf
un ki ek ek jumbish-e-lab mein pinhan hain paigham bahut

aansu jaise baada-e-rangin dhadkan jaise raqs-e-pari
hae ye tere gham ki halawat rahta hun khush-kaam bahut

us ke taqaddus ke afsane sab ki zaban par jari hain
us ki gali ke rahne wale phir bhi hain badnam bahut

zakhm ba-jaan hai khak basar hai chaak ba-daman hai 'unwan'
bazm-e-jahan mein raqs-e-wafa par milte hain inam bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close