rahte hain intishaar mein sae idhar udhar imkan-e-ishq sab hi ganwae idhar udhar main dasht-e-be-giyah mein bheji gai magar karti phirun main dasht mein hae idhar udhar ahl-e-zaban gum rahe tasbih mein meri rakkhun main jaan-e-shauq chhupae idhar udhar sahra ko pyas saunp ke dariya simat gaya abr-e-siyah dur hi chhae idhar udhar wo ishq-e-na-murad meri jaan le gaya phahe to zakhm-e-jaan pe sajae idhar udhar rahon mein tirgi ne ujale ko das liya ye raat kale jism ko khae idhar udhar aawargi ka zauq 'huma' dil ko bha gaya ye aur baat jaan nahin jae idhar udhar