rakhna KHam-e-gesu mein ya dil ko riha karna

rakhna kham-e-gesu mein ya dil ko riha karna
kuchh kah to sahi zalim aakhir tujhe kya karna

kya tum se ziyaada hai duniya mein hasin koi
iman se kah dena insaf zara karna

sahni bhi jafa un ki karni bhi wafa un se
un ki bhi khushi karni dil ka bhi kaha karna

bosa bhi mujhe dena honton mein bhi kuchh kahna
jine ki dawa dena marne ki dua karna

tirchhi chitwan ne lakhon hi kiye bismil
ai turk tera nawak kya jaane khata karna

be-dad ka ab shikwa beja hai 'nasim' un se
tha tum ko mohabbat ka izhaar hi kya karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close