rakhta hai sulh sab se dil us ka pa mujh se jang ghairon ke haq mein mom hai aur mere haq mein sang kaisa visal kis ka firaq aur kahan ka ishq thi aalam-e-jawani ki bas ye bhi ek tarang kya tab milegi aah mujhe aarzu-e-dil mar jaegi tadap ke mere ji ki jab umang hairan main apne haal pe chun aaina nahin aalam ke munh ko dekh ke main rah gaya hun dang aata hai kya nazar use shoale mein shama ke deta hai jaan-bujh ke kyun apna ji patang leta tha nam ghair nikal aaya mera nam aakhir jhalak gaya hai mohabbat ka rang-dhang waqif nahin nishan se main us yar ke 'hasan' jis ke liye uda diya sab apna nam-o-nang