ranai-e-kaunain se be-zar hamin the

ranai-e-kaunain se be-zar hamin the
hum the tere jalwon ke talabgar hamin the

hai farq talabgar o parastar mein ai dost
duniya thi talabgar parastar hamin the

is banda-nawazi ke tasadduq sar-e-mahshar
goya teri rahmat ke saza-war hamin the

de de ke nigahon ko tasawwur ka sahaara
raaton ko tere waste bedar hamin the

bazar-e-azal yun to bahut garm tha lekin
le de ke mohabbat ke kharidar hamin the

khatke hain tere sare gulistan ki nazar mein
sab apni jagah phul the ek khar hamin the

han aap ko dekha tha mohabbat se hamin ne
ji sare zamane ke gunahgar hamin the

hai aaj wo surat ki banae nahin banti
kal naqsh-e-do-alam ke qalamkar hamin the

pachhtaoge dekho hamein begana samajh kar
manoge kisi waqt ki gham-khwar hamin the

arbab-e-watan khush hain hamein dil se bhula kar
jaise nigah o dil pe bas ek bar hamin the

'ehsan' hai be-sud gila un ki jafa ka
chaha tha unhen hum ne khata-war hamin the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close