wo is jahan se hairan jaya karte hain

wo is jahan se hairan jaya karte hain
jo apne aap ko pahchan jaya karte hain

jo sirf ek thikane se tere waqif hain
teri gali mein wo nadan jaya karte hain

kisi ke hone na hone ke bare mein aksar
akele-pan mein bade dhyan jaya karte hain

main ab kabhi na dikhunga kisi ke marne se
ki shab guzar ke mehman jaya karte hain

jo asl baat hai us ko chhupane ki khatir
kabhi kabhi ghalati man jaya karte hain

ye baat aate hue sochta nahin koi
ki sab yahan se pareshan jaya karte hain

'jamal' hum to tujhe ye bhi ab nahin kahte
kabhi kisi ka kaha man jaya karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close