rang sare apne andar raftagan ke hain

rang sare apne andar raftagan ke hain
hum ki barg-e-raegan nakhl-e-ziyan ke hain

shisha-e-umr-e-rawan se khauf aata hai
aks is mein saat-e-kam-mehrban ke hain

hum ko kya la-hasili hi ishq mein gar hai
hum to khugar yun bhi kar-e-raegan ke hain

tere kuche ki hawa puchhe hai ab hum se
nam kya hai kya nasab hai hum kahan ke hain

hum ko kya arz o sama ke sab khazanon se
hum to aashiq ek ism-e-jawedan ke hain

mere partaw ne tilism-e-tirgi toda
aur ab raushan manazir khak-dan ke hain

hum ko kya mauj-e-fana se khauf aaega
muntazir hum khud zawal-e-rang-e-jaan ke hain

imtihan ye sakhtiyan ye gardishen 'aslam'
sab ishaare ek chashm-e-mehrban ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close