ranj par ranj musibat si musibat dekhi

ranj par ranj musibat si musibat dekhi
hijr-e-maula mein ye aaram ki surat dekhi

mahw-e-didar rahe hashr mein aashiq tere
aankh utha kar na kabhi khuld ki surat dekhi

le liya wada-e-bakhshish bhi duhai kar ke
shafe-e-hashr ki ummat se mohabbat dekhi

aa gai mujh ko nazar ghayat-e-chashm-e-mushtaq
qabr mein aa ke mohammad ki jo surat dekhi

aazmati hai shab-e-hijr mujhe kya hamdam
main to khush hun ki judai ki haqiqat dekhi

jalwe ka wada qayamat pe kiya tha mauquf
aap ke hijr mein sau bar qayamat dekhi

khush-nasibi hai ki main ashraf-e-makhluq hua
lillahil-hamd gham-e-ishq ki lazzat dekhi

khar-e-taiba ko gul-e-khuld se badh kar samjhe
hum ne in kanton mein wo bu-e-mohabbat dekhi

daur-e-saghar se to pahle hi na tha hosh mujhe
main ne saqi ki nigahon mein karamat dekhi

parda-e-hashr mein poshida rakha apna jamal
us ne jab talib-e-didar ki kasrat dekhi

dukhtar-e-raz ki nigahon se bachae allah
aap ne 'rasikh'-e-mai-khwar ki haalat dekhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close