shuaen aise mere jism se guzarti gain

shuaen aise mere jism se guzarti gain
lahu mein jaise mere kirchiyan utarti gain

na jaane chehre hun aainda nasl ke kaise
bas ek khauf se meri ragen sikudti gain

mujhe to lagte hain nakhun bhi apne zahar bujhe
mere liye to meri ungliyan bhi marti gain

jazire kitne garan paniyon ki god mein hain
panah ke liye sochen meri bikharti gain

ye gardishon ka tawazun bigad na jae kahin
isi tarah jo zamin ki tahen udhadti gain

khala hayat ke imkan se to nahin aari
pa justujuen kuchh apni hi mand padti gain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close