raste humse raaz kahne lage

raste hum se raaz kahne lage
phir to hum raston mein rahne lage

mere lafzon ko mil gai aankhen
sare aansu labon se bahne lage

shahr ke lafz kar diye wapas
apni zat apni baat kahne lage

hum abhi thik se bane bhi na the
khud se takrae aur dhahne lage

us ne talqin-e-sabr ki thi so hum
jo na sahna tha wo bhi sahne lage

hum ne mitti ki bediyan katin
toda zindan-e-ab bahne lage

muzhda ai sakinan-e-shahr-e-sukhan
'farhat-ehsas' sher kahne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close