raste pe zulm-o-jaur ke chalne lage hain hum

raste pe zulm-o-jaur ke chalne lage hain hum
ab rah-rau ke khun pe palne lage hain hum

mumkin hai koi baat ghalat hum se ho gai
ya yunhi apna rang badalne lage hain hum

jis ke liye bane the usi rah-naward ko
dekha jo mutmain to machalne lage hain hum

jab tai hua safar to lahu pairahan hua
manzil ko dekhte hi ubalne lage hain hum

jitne khayal mein the sitam sab hi dah chuke
ab hath apne zulm pe malne lage hain hum

manus ho saka na koi mutmain hua
'manzar' qadam qadam pe sambhalne lage hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close