fikr mein muft umr khona hai ho chuka hai jo kuchh ki hona hai khel sab chhod khel apna khel aap qudrat ka tu khilauna hai aankh tuk khol did-e-qudarat kar phir to panw pasar sona hai chup raha kar badon ki majlis mein ye bhi ek aafiyat ka kona hai mera mashuq hai mazon mein bhara kabhu mitha kabhu salona hai chhal-bal us ki nigah ka mat puchh sehr hai totka hai tona hai ro tu 'hatim' 'husain' ke gham mein aur rona to rand rona hai