'rawan' kis ko khabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha zamin ka kya tha naqsha aur rang-e-asman kya tha yahi hasti isi hasti ke kuchh tute hue rishte wagarna aisa parda mere un ke darmiyan kya tha tera bakhsha hua dil aur dil ki ye hawas-kari mera is mein qusur ai dast-gir-e-asiyan kya tha agar kuchh roz zinda rah ke mar jaana muqaddar hai to is duniya mein aakhir bais-e-takhliq-e-jaan kya tha hum itne fasle par aa gae hain ahd-e-mazi se khabar ye bhi nahin ajdad ka nam-o-nishan kya tha kisi barq-e-tajalli par zara sa ghaur kar lena agar ye jaanna ho aalam-e-ruh-e-'rawan kya tha