sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha
kis darja kaamyab fareb-e-majaz tha

misl-e-mah-e-do-hafta wahi sarfaraaz tha
jis ki jabin-e-shauq pe dagh-e-niyaz tha

puchho na haal-e-kashmakash-e-yas-o-arzu
wo bhi ajib marhala-e-jaan-gudaz tha

jab tak haqiqaton se mera dil tha be-khabar
bechaara mubtala-e-gham-e-imtiyaz tha

jhonka hawa-e-sarw ka rindon ke waste
khum-khana-e-bahaar se hukm-e-jawaz tha

ahl-e-jahan ke kufr o tawahhum ka kya ilaj
aaina kah raha hai ki aaina-saz tha

muzmir the meri zat mein asrar-e-kaenat
main aap raaz aap hi khud sharah-e-raaz tha

aaen pasand kya use duniya ki rahaten
jo lazzat-ashna-e-sitam-ha-e-naz tha

khilqat samajh rahi thi jise iztirab-e-dil
pinhan usi mein hasti-e-ashiq ka raaz tha

achchha hua hamesha ko chup ho gaya 'rawan'
ek ek nafas gharib ka hasti-gudaz tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close