rone walon ne tere gham ko saraha hi nahin

rone walon ne tere gham ko saraha hi nahin
raat khush rah ke bhi kat sakti hai socha hi nahin

na kahin abr ka ghunghat na hawa ki pazeb
din kai din se tere rang mein dekha hi nahin

tu bhi in ujde dayaron mein hai meri manind
aisa lagta hai ki tu ne mujhe dekha hi nahin

tujh se shikwa bhi agar ho to koi baat bhi ho
aaina chhod ke mujh ko koi samjha hi nahin

ek ye patthar hai ki thokar se bahut dur gaya
ek ye dil hai ki sine se nikalta hi nahin

yun to is rah mein lahke kai aanchal lekin
dil pe wo rang chadha hai ki utarta hi nahin

baith rahiye bhi to kya rah-guzar-e-shab mein
ab ye rasta teri aankhon se guzarta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close