na kuredun ishq ke raaz ko mujhe ehtiyat-e-kalam hai mera zauq itna buland hai jahan aarzu bhi haram hai faqat ek rishta-e-mushtarak khalish-e-sukut-e-kalam hai yunhi ek zamana guzar gaya na payam hai na salam hai jo charagh-e-ashk nasib the wahi sabr kar ke jala diye wahi kafirana siyahiyan ye wahi bujhi hui sham hai abhi rakkha rahne do taq par yunhi aaftab ka aaina ki abhi to meri nigah mein wahi mera mah-e-tamam hai mera har nafas meri har nazar hai raza-e-ghair pe munhasir jo isi ka nam hayat hai to hayat marg-e-dawam hai yahi mai-kada ka khulasa hai yahi mastiyon ka nichod bhi teri chashm-e-baada-farosh mein ye jo ek kaif-e-tamam hai meri hasraton ka na khun kar nahin yun na rok meri zaban meri sard aah pe shak na kar ye to mera husn-e-kalam hai badi dil-kharash sada thi wo ki bina-e-mai-kada hil gai ye shikast-e-tauba hai dekhta ki shikasta-e-shisha-o-jam hai hai wahi fareb-e-dil-o-nazar abhi karobar-e-hayat mein wahi ek laghzish-e-khuld hai jo yahan bhi gam-ba-gam hai zara dekhna to azan ka bhi 'siraj' waqt nahin raha ye tulu-e-mahr hai ya wahi kaf-e-gul-farosh pe jam hai