ruh kaghaz kalam KHushbu hai

ruh kaghaz kalam khushbu hai
kya numayan payam khushbu hai

hai tumhaare khamir ki khushbu
tum jo kahte ho aam khushbu hai

hum se tohfe mein phul kyun kar le
us ka to apna nam khushbu hai

phul mausam ki nazar ho gae sab
jis ne paya dawam khushbu hai

koi mere qarib aaya hai
kyun na bhejun salam khushbu hai

nisbaten aap ke pasine se
kitni aali-maqam khushbu hai

baat aaghaz phul se hogi
baat ka ikhtitam khushbu hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close