ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen apne hone ka elan karte rahen apne hone ka isbaat karte rahen barf-e-rut aa gai phir nai bastiyon se nai hijraton ne pukara hamein lekin is bar pardes jate hue raston par nishanat karte rahen phir koi tishna-lab tir is dasht mein hum tak aaya hai tai kar ke kitna safar ai rag-e-jaan ki ju-e-rawan hum bhi kuchh mehman ki mudaraat karte rahen ek hi ped par sanp aur aadmi sath rahte hain sailab utarne talak ham-safar hai agar dushman-e-jaan to kya rah sunsan hai baat karte rahen jaan lene ka waisa saliqa abhi lashkar-e-dushmanan mein kisi ko nahin aao ab apne khemon mein wapas chalen doston se mulaqat karte rahen