nigahon ka markaz bana ja raha hun mohabbat ke hathon luta ja raha hun main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya azal se abad tak baha ja raha hun mubarak mubarak meri ye fanaen do-alam pe chhaya chala ja raha hun wahi husn jis ke hain ye sab mazahir usi husn mein hal hua ja raha hun ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun na jaane kahan se na jaane kidhar ko bas ek apni dhun mein uda ja raha hun mujhe rok sakta ho koi to roke ki chhup kar nahin barmala ja raha hun mere pas aao ye kya samne hun meri samt dekho ye kya ja raha hun nigahon mein manzil meri phir rahi hai yunhi girta padta chala ja raha hun teri mast nazren ghazab dha rahi hain ye aalam hai jaise uda ja raha hun kidhar hai tu ai ghairat-e-husn khud mein mohabbat ke hathon bika ja raha hun na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti jidhar chal pada hun chala ja raha hun na surat na mani na paida na pinhan ye kis husn mein gum hua ja raha hun