ruh ko pahle khaksar kiya phir badan main ne tar tar kiya dard ko shola-e-khumar kiya shisha-e-gham ko sharmsar kiya ungliyan uthte uthte girne lagin hum ne jab aasman par kiya main nihatta tha kaise bach pata aur pichhe se us ne war kiya raegan ho rahi thi tanhai teri yaadon ka karobar kiya jab nazar mein girah padi dekhi shab ne khwabon ko aab-dar kiya dil ke sajde lahu-luhan hue kin duaon ne beda par kiya log kitne bichhad gae 'sajid' khud ko hum ne bhi be-hisar kiya