ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai

ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai
us ne mujh ko lakhon insanon se achchha rakkha hai

tum raushan kar rakkho jitne hijr alaw mumkin hon
main ne bhi apni aankhon ke pichhe dariya rakkha hai

aankh kahan hai ek aafat goya rakkhi hai chehre par
dil kab hai mere pahlu mein ek tamasha rakkha hai

jo mujh mein khul kar hansta aur sawan-bhadon rota tha
us bachche ko main ne ab tak khud mein zinda rakkha hai

jis din meri dharti apni chadar mujh par dalegi
bas us din ki khatir main ne khud ko zinda rakkha hai

khak-basar phirti hain jis mein lailaen din-raat 'munir'
main ne apni za mein ek aisa bhi sahra rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close