yaadon ki gunj zehn se bahar nikaliye

yaadon ki gunj zehn se bahar nikaliye
gumbad na chikh utthe koi dar nikaliye

khul jaiye baraste hue abr ki tarah
jo chiz dil mein hai use bahar nikaliye

ban kar dikhaiye kisi bahzad ka jawab
patthar tarash kar koi paikar nikaliye

rakhiye shanawari ka bharam kuchh na kuchh zarur
moti na hath aae to patthar nikaliye

manzur hai ghurur-e-khizan ki agar shikast
gulshan se rang-o-nur ke lashkar nikaliye

qadir hai bahr-o-bar pe jo insan to aap bhi
khat khinch kar zamin se samundar nikaliye

rakhiye ba-azm-e-khas rah-e-zist mein qadam
manzil badi kathin hai magar dar nikaliye

dushman bhi tir jod ke baitha hai ghat mein
khandaq se dekh-bhaal ke ab sar nikaliye

phir dost ko lagaiye dil se ba-sad-khulus
phir apni aastin se khanjar nikaliye

phir chha rahi hai dajla-e-mahtab par ghata
is tirgi se phir koi manzar nikaliye

jo ho sake to waqt ki zanjir tod kar
sham-o-sahar ka panw se chakkar nikaliye

'zulfi' gali mein aaj bahut tez hai hawa
is kaghzi-badan ko na bahar nikaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close