rukh se fitrat ke hijabaat utha deta hai aaina tut ke patthar ko sada deta hai azmat-e-ahl-e-wafa aur badha deta hai gham-e-musalsal ho to phir gham bhi maza deta hai dil dhadakta hai to pahron nahin sone deta nind aati hai to ehsas jaga deta hai tum ne shayad kabhi is baat ko socha hoga waqt hathon ki lakiren bhi mita deta hai jo mere qatl ke darpai tha na jaane kab se aaj wo bhi mujhe jine ki dua deta hai apne kirdar pe maujon ko bhi sharm aati hai jab koi dub ke sahil ka pata deta hai gham ki taufiq bhi sab ko nahin milti 'gauhar' ye wo neamat hai jo mushkil se khuda deta hai