rukna padega aur bhi chalne ke nam par girti rahegi khalq sambhalne ke nam par phansta gaya hun aur nikalne ki sai mein aafat mazid aai hai talne ke nam par ye kya tilism hai ki ubharne ke shauq mein aawaz dab gai hai nikalne ke nam par dil ka shajar to aur bhi palne ki aad mein murjha gaya hai phulne-phalne ke nam par wo ja chuka hai aur badan ke nawah mein ab jam rahi hai barf pighalne ke nam par badlega koi roz nae-pan ke shauq mein yaksan rahega koi badalne ke nam par mani ka sabza-gah nazar aa gaya to phir bhadkega lafz sher mein dhalne ke nam par