saba ko fikr hai kaba naya banane ki

saba ko fikr hai kaba naya banane ki
ki jama karti hai khak un ke aastane ki

falak ko zid hai nasheman mera mitane ki
chaman mein dhun hai mujhe aashiyan banane ki

zamin pe lala-o-gul se hai ibtada-e-bayan
shafaq hai aakhiri surkhi mere fasane ki

isi se niklega tamir ka bhi ek pahlu
zarur chahiye takhrib aashiyane ki

hazar jalwa-e-be-rang sad mataa-e-nazar
nahin hai husn ko hajat naqab uthane ki

khula ye raaz ki thin kis qadar fareb-e-nazar
ajal ke bhes mein ranginiyan zamane ki

asiro kar lo nasheman ka aakhiri matam
qafas mein aai hai khak ud ke aashiyane ki

suni thi wusat-e-duniya ki dastan hum ne
magar mili na jagah aashiyan banane ki

ye kah ke palte hain duniya ke dekhne wale
ki ye jagah nahin wallah dil lagane ki

bana bahaar mein ujda khizan mein ai 'afqar'
haqiqat itni hi bas apne aashiyane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close