sabze se sab dasht bhare hain tal bhare hain pani se

sabze se sab dasht bhare hain tal bhare hain pani se
mere andar khali-pan hai kis ki be-imani se

ab ke apni chhat bhi khuli hai diwaron mein dar hain bahut
barish dhup hawa jo chahe aa jae aasani se

sachchai hamdardi yari yun hum mein se chali gai
jaise khud kirdar khafa ho jaen kisi kahani se

chehre par jo kuchh bhi likha hai wo sab ek haqiqat hai
aaina kya dekh rahe ho tum itni hairani se

taqriren deti hain dilase ya nafrat phailati hain
tu main aur tarikhen lekin banti hain qurbani se

khun ke rishte khun mein dube ek zamin ke tukde par
sadiyon ka apna-pan bhule hum kitni aasani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close