tumhaare shahar mein tha bhi to ek musafir main

tumhaare shahar mein tha bhi to ek musafir main
so thak ke baith gaya raste mein aakhir main

main har lihaz se sairab tha khuda ki qasam
ye aur baat ki pyasa raha ba-zahir main

huruf milte hi aawaz dub jati hai
jo chup rahun na batao to kya karun phir main

kisi bhi samt bhatakta phirun yamin-o-yasar
talash rah karun bhi to kis ki khatir mein

meri khushi ko yahi rabt bahami hai bahut
mera mughanni hai wo aur us ka shair main

ye khel khatm bana haar-jit ke hoga
ki jis hunar mein wo yakta usi mein mahir main

hazar bandha gaya mujh pe aainon ka hisar
kisi pe apne alawa hua na zahir main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close