sada-o-khamshi ke darmiyan thaharta hai tera khayal sukhan mein kahan thaharta hai hamari qaid hamare isi khayal se hai hamare raste mein ek makan thaharta hai rawish rawish jo hai paida nazar ke samne wo zara sa dekhne par sab nihan thaharta hai agar wo wasl ka lamha hamein mayassar ho to sara ishq hi kar-e-ziyan thaharta hai thahar ke dekh ghadi-bhar ke waste 'sani' maqam kya hai jahan ye jahan thaharta hai