sadaqat ki yahan izzat nahin hai wafadari ki kuchh qimat nahin hai jahan se wo gaya tha main wahin hun magar jine mein wo lazzat nahin hai zaban pe talkhiyan aankhon mein ghussa magar kirdar mein khissat nahin hai waqar apna nahin kotah lekin tere rutbe si bhi qamat nahin hai rahe mitti ki khushbu yaad har-dam to sansen rokti ghurbat nahin hai jahaalat mein pali duniya mein shayad taqqul se badi neamat nahin hai chala chal sar utha kar yar 'naqid' lagi ab tak koi tohmat nahin hai