main tujh par munkashif ho jaun ye mujh par garan hai

main tujh par munkashif ho jaun ye mujh par garan hai
khasara sa khasara ta-ba-imkan sab ziyan hai

ye chashm-e-nam ki khunaba-fishani tham rahe to
khule ashkon ki tughyani ka sar-chashma kahan hai

charagh aise tah-e-farsh-e-zamin rakkhe gae the
falak ki mang mein ek jhilmilati kahkashan hai

teri aankhon se le kar hai shikam tak bhuk raqsan
to phir nan-e-jawin ka daera hi kul jahan hai

hui ab raftani teri khalish to kya ye samjhun
ki kuchh baqi nahin ab tere mere darmiyan hai

kiya inkar jab qaid-e-qafas se tab khula ye
par-e-parwaz ki had to karan-ta-ba-karan hai

tah-e-dam-e-asiri bhi rihai ki tamanna
meri sahmi hui aankhon mein ab tak pur-fishan hai

kahan ka ishwa-o-ghamza-o-nazish aah 'anjum'
ki mera mehrban mujh par abhi na-mehrban hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close