safar ki mauj mein the waqt ke ghubar mein the

safar ki mauj mein the waqt ke ghubar mein the
wo log jo abhi is qarya-e-bahaar mein the

wo ek chehre pe bikhre ajab ajab se khayal
main sochta to wo gham mere ikhtiyar mein the

wo hont jin mein tha mithi si ek pyas ka ras
main jaanta to wo dariya mere kanar mein the

mujhe khabar bhi na thi aur ittifaq se kal
main us taraf se jo guzra wo intizar mein the

main kuchh samajh na saka meri zindagi ke wo khwab
in ankhdiyon mein jo tere the kis shumar mein the

main dekhta tha wo aae bhi aur chale bhi gae
abhi yahin the abhi gard-e-roz-gar mein the

main dekhta tha achanak ye aasman ye kare
bas ek pal ko ruke aur phir madar mein the

hazar bhes mein sayyar mausamon ke safir
tamam-umr meri ruh ke dayar mein the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close