ghar mein chizen baDh rahi hain zindagi kam ho rahi hai

ghar mein chizen badh rahi hain zindagi kam ho rahi hai
dhire dhire ghar ki apni raushni kam ho rahi hai

shahr ke bazar ki raunaq mein dil bujhne lage hain
khub khush hone ki khwahish mein khushi kam ho rahi hai

ab kisi ko bhi chhuo lagta hai pahle se chhua sa
wo jo thi pahle-pahal ki sansani kam ho rahi hai

tai-shuda lafzon mein karte hain hum izhaar-e-mohabbat
ab to pahle ishq mein bhi an-kahi kam ho rahi hai

le gaya ye shahr us ko mere pahlu se utha kar
mujh ko lagta hai meri diwangi kam ho rahi hai

husn ka bazar aana jaana bhi kuchh badh raha hai
kuchh meri aankhon ki bhi pakizgi kam ho rahi hai

waqt dandi marta hai tolne mein mera hissa
din bhi chhote pad rahe hain raat bhi kam ho rahi hai

shahr ki koshish ki khud ko aur pechida bana le
meri ye tashwish meri sadgi kam ho rahi hai

sahilon ki bastiyan ye dekh kar khamosh kyun hain
bastiyon ke phailne se hi nadi kam ho rahi hai

sham aate hi tumhein rahti hai ghar jaane ki jaldi
'farhat-ehsas' in dinon aawargi kam ho rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close