sahar hi aai na wo shahid-e-sahar aaya ghubar-e-shab ka musafir hi mere ghar aaya thakan ki dhup dhali bhi nahin thi sar se abhi azab-e-hukm-e-safar mujh pe phir utar aaya diya jalate hue hath kanpte kyun hain kahan se khauf badan mein hawa ka dar aaya ye lamha lamha bikharti hui ana ka wajud na ye zamin na wo aasman nazar aaya rida rahi na badan par koi qaba shadab ye kaun dhup mein dekho barahna-sar aaya badan tamam hua hai lahu-luhan mera nai ruton ka musafir ba-chashm-e-tar aaya bahut aziz hai apne watan ki khak hamein jo khwab aankhon mein aaya wo mo'tabar aaya