husn aur barsar-e-paikar khuda khair kare aap ke hath mein talwar khuda khair kare mujh ko dar hai ki na ban jae qayaadat ka sabab aap ke ishq ka iqrar kiya hai hum ne aap ke ishq ka iqrar kiya hai hum ne hum hain aur marhala-e-dar khuda khair kare aae the hum tere didar ki hasrat le kar ab hain kuchh aur hi aasar khuda khair kare wo jo badnam rahe rahzani mein barson hain wahi qafila-salar khuda khair kare koi duniya mein nahin tere siwa ai 'shaeq' jins-e-ulfat ka kharidar khuda khair kare