sahar hui to KHayalon ne mujhko gher liya

sahar hui to khayalon ne mujh ko gher liya
jab aai shab tere khwabon ne mujh ko gher liya

mere labon pe abhi nam tha bahaaron ka
hujum-e-shauq mein kharon ne mujh ko gher liya

kabhi junun ke zamane kabhi firaq-ruten
kahan kahan teri yaadon ne mujh ko gher liya

nikal ke aa to gaya gahre paniyon se magar
kai tarah ke sarabon ne mujh ko gher liya

ye ji mein tha ki nikal jaun tujh se dur kahin
ki tere dhyan ki banhon ne mujh ko gher liya

jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya

hujum-e-ranj se kaise nikal sake 'bismil'
teri talash ke rishton ne mujh ko gher liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close