kuchh aise wasl ki raaten guzari hai main ne tamam shab teri surat nihaari hai main ne abhi se sara samundar uchhaal marta hai abhi to dariya mein kashti utari hai main ne ye sare raste mujhe khinchne lage hai ab kuchh itna chikh ke manzil pukari hai main ne tamam-umr teri justuju rahi mujh ko tamam-umr safar mein guzari hai main ne